Hawa ko likhna jo aa gaya he,
Ab us ki marzi ke wo khizan ko bahar likh de,
Bahar ko intezar likh de,
Safar ki khwahish ko wahmoun ke azaab se ham-kinar likh de,
Wafa ke rsto pe chalne walo ki qismaoun mein ghubar likh de,
Hawa ko likhna jo aa gaya he,
Hawa ki marzi ke wisl mausam me hijr ko hissadar likh de,
Muhabattoun mein guzarne wali ruto ko na-paidar likh de,
Shajr ko kam sayadar likh de,
Hawa ko likhna sikhane walo,
Ab us ki marzi ke wo hamare diye bujha kar,
Shaboun ko ba-ikhtiar kar ke sehar ko be-aitbar likh de,
Hawa ko likhna sikhane walo!
Hawa ko likhna jo aa gaya he.

No comments:
Post a Comment